Saturday, January 3, 2009

kuch nagme zindgi ke naam

tumhari aankho ki sacchai
sayad ye keheti hai,tum thak chuke ho,safar ki thakan itni hogayi .
ke ab tumse apni hi zindgi bardast nahi horahi
kabhi kabhi mujhey lagta hai.
tumhari thakan ki wajha meri hi zindgi hai
mere wazood ko uthatakar sayad ab tum ubb chuke ho
mujse mera hi wazood nahi uthta to tum kaise kandha de paoge

tumhari sansoo ki garmahat,ab thandi si siskari mai badalti jarahi hai
ab un aankho ki sune pan mai,mai apni zindgi talash rahi hu
sadiya beet gayi ,aaj bhi wahi aalam hai fark sirf itna ki
ab na hi wo dilchaspirahi nigaho ki na,na wo maza khelte rehene ka
ab tujhey jiye jana ek jaeurat ke siwa kuch bhi nahi hai sayed isisliye ke
marne se insan ek kadam piche hatta hai.






No comments: